Mein maut ki aagosh mein jaata raha
Maut bhi kitni zaalim
Apney taraf aaney ka raasta har pal badalti rahi
Intezaar badhta gaya
Zindagi maut key intezaar mein kat ti rahi
Na jee saka zindagi, na apni maut mar saka
Maut dekho kitni zaalim
Apney taraf aaney ka raasta har pal badalti rahi
Phir socha kya fayda zindagi sey yun is tarah guzar jaaney ka
Kuch haasil kiya nahin, waqt beet gaya intezaar mein
Gumnaam kyon so jaaoon mein
Kyon auron ka naam kar jaoon mein
Dard diya jinhon ney mujhey, kyon unkey chehrey par hansi chod jaaoon mein
Aisa bhi nahin key khatm ho jaani hai duniya gar na milta mujhko mera chaha
Aisa bhi to ho sakta hai key dard-e-sir ban jaaon mein
Unkey liye jo detey hain pal pal mujhko dard
Meri fitrat nahin key unko jeet leney doon aasani sey mein
Meri fitrat mein to junoon aur jazba hai
Jaa Maut, aur bhi door jaa tu ab
Teri chah nahin mujhko jab tak zindagi mujhey chahna na chod dey
Milna to hai zaroor tujhko ai maut magar
Ab dil bhara nahin dard-e-zindagi sey mera
Maut…tu kitni zaalim thi key aaj bana diya mujhko
Be-khauf…Be-dard
Ab zindagi mujhsey panah maangegi tujhko woh khud hi bula laaegi
Tab hogi shaayad jeet meri
Mujhko mein nahin tu hi le legi apney aagosh mein
Waqt muqarrar hai…to intezaar rahega milney ka
Tab tak vaada hai zindagi tujhko bhi jhelney ka