Jannat si khushi aa jaati hai saarey Kainaat mein
Jab Eid ka chand nazar aata hai
Ek mahina ibaadat karta hai banda
Allah paak usey khushi sey dekho kaisey nawaazta hai
Duniya bhi dekhkar dang reh jaati hai
Isliye hum par apna gussa nikaalti hai
Ehsaas hi to hai yeh, warna kyon apni khaami ko chupaney key liye
Qatl bhi hamara karey aur qatil bhi hamein banaey
Imaan hamara itna kamzor nahin
Key hum khushi na manaein
Qatl jitna bhi tu karna chahey Qatil
Teri har nasl par hum hi bhaari hain
Aaj khushi ka mauqa hai, hum to khush hain aur khush hi rahengey
Aaj saari Kainaat mein padha jaa raha Eid ka khutba hai
Pur sukoon ho jaaegi hamari duniya
Itni ibaadatein hum jo kartey hain
Yeh zameen to ek chota sa lamha hai, yehan ki chah nahin hamein
Humari manzil to uski baargah hai,
Sarfarosh hain, zaalim nahin,
Teri taraf dekh, ek halki si haseen bhi terey chehrey pey nahin
Saarey Mominon ko meri taraf sey Eid Mubaarak…koi gum nahin, har mushqil ek neymat hai, yakeen tu kar bandey, tera Khuda hi tera Rehbar hai