Ek mod aaya tha zindagi mein
Mohabbat jab huee thee mujhey
Saath choot gaya kuch pal mein phir
Tanhaai rah gayee saath mere
Waqt beeta, zakhm bhar gaya judaai ka
Zindagi sey samjhauta kar liya meiney
Ek haseen khwaab raat ki neend mein samajhkar
Doosra sawera dekh liya meiney
Phir ek hawa ka jhonka aaya
Le aaya saath usey…
Zindagi mein roshni si huee
Tanhai khatam si lagney lagi
Wohi hansi, wohi chehak, wohi pyaar uski nazron mein tha
Wohi kasak, wohi tadap, wohi dard mereliye aaj bhi tha
Mein bhi chup tha, who bhi chup thi
Dil mein magar dono key baat wohi thi
Kuch na keh saka, baat hothon pey thee
Kuch na kar saka, kuch na kar saka
Bereham nikla hawa ka jhonkan
Voh jhonka na tha ek zarra tha
Kuch pal ki hansi thi, kuch pal ki khushi thi
Baad mein uskey phir wohi gam tha
Waqt aur haalat ney phir cheen liye usey mujhsey
Saath rah gaya wohi bereham sannata, wohi beraham tanhai
Nice one. What you call this one Ghazal aur Nazam. I will call it a Nazam. Aik jaga zara sa etiraz hai, “Mein bhi chup tha, who bhi chup thi” . Adab Aadab kai hesab sai Here “who bhi chup tha hona chahiyai tha, aur else it could be written as ” mein bhi gum sum,, wou bhee chup tha”.
Aik misra purh kur maza aagaya. “. Kuch na kar saka, kuch na kar saka”
Iraday kia thay janaab………………..!!
Kuch baatein khul kar na ki jaaein to hi usmein maza hai. Aur phir padhney wala jo chahey soch ley. Haqeeqat to likhney waaley tak hi mehfooz rahegi.